شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

کچھ قدم اور مجھے جسم کو ڈھونا ہے یہاں

کچھ قدم اور مجھے جسم کو ڈھونا ہے یہاں ساتھ لایا ہوں اسی کو جسے کھونا ہے یہاں بھیڑ چھٹ جائے گی پل میں یہ خبر اڑتے ہی اب کوئی اور تماشا نہیں ہونا ہے یہاں یہ بھنور کون سا موتی مجھے دے سکتا ہے بات یہ ہے کہ مجھے خود کو ڈبونا ہے یہاں کیا ملا دشت میں آ کر ترے دیوانے کو گھر کے جیسا ہی اگر جاگنا سونا ہے یہاں کچھ بھی ہو جائے نہ مانوں گا مگر جسم کی بات آج مجرم تو کسی اور کو ہونا ہے یہاں یوں بھی درکار ہے مجھ کو کسی بینائی کا لمس اب کسی اور کا ہونا مرا ہونا ہے یہاں اشک پلکوں پہ سجا لوں میں ابھی سے شارقؔ شب ہے باقی تو ترا ذکر بھی ہونا ہے یہاں

— شارق کیفی

English rendering

kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhonā hai yahāñ saath laayā huuñ usī ko jise khonā hai yahāñ bhiiḌ chhaT jā.egī pal meñ ye ḳhabar uḌte hī ab koī aur tamāshā nahīñ honā hai yahāñ ye bhañvar kaun sā motī mujhe de saktā hai baat ye hai ki mujhe ḳhud ko Dubonā hai yahāñ kyā milā dasht meñ aa kar tire dīvāne ko ghar ke jaisā hī agar jāgnā sonā hai yahāñ kuchh bhī ho jaa.e na mānūñgā magar jism kī baat aaj mujrim to kisī aur ko honā hai yahāñ yuuñ bhī darkār hai mujh ko kisī bīnā.ī kā lams ab kisī aur kā honā mirā honā hai yahāñ ashk palkoñ pe sajā luuñ maiñ abhī se 'shāriq' shab hai baaqī to tirā zikr bhī honā hai yahāñ

‹ کلام کی فہرست پر واپس