کتیا
خالد جاوید کے نام مگر بلی کو رونا چاہیئے تھا مجھے ہوشیار کر کے ہی اس رات سونا چاہیئے تھا کہ وہ گھر میں ہے وہ یعنی مری موت اسے کچھ بھی نہیں کرنا پڑا مجھے تو صرف لمحے بھر کی اس شرمندگی نے مار ڈالا وہ میرے حال پر منہ پھاڑ کر جب ہنس رہی تھی کہ جب وہ سامنے آئی مری آنکھوں میں خوابوں کی چمک تھی ہتھیلی پر دوا کی گولیاں تھیں جن کو بدلا تھا سویرے ڈاکٹر نے اور میں نہایت مطمئن تھا کل کو لے کر یہ منظر یوں نہیں کچھ اور ہونا چاہیئے تھا اور بہت ممکن ہے ہوتا بھی اگر مجھ کو ذرا آگاہ کر دیتی وہ کتیا وہ مری بلی
English rendering
ḳhālid jāved ke naam magar billī ko ronā chāhiye thā mujhe hoshiyār kar ke hī is raat sonā chāhiye thā ki vo ghar meñ hai vo yaanī mirī maut use kuchh bhī nahīñ karnā paḌā mujhe to sirf lamhe bhar kī is sharmindagī ne maar Daalā vo mere haal par muñh phaaḌ kar jab hañs rahī thī ki jab vo sāmne aa.ī mirī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī chamak thī hathelī par davā kī goliyāñ thiiñ jin ko badlā thā savere doctor ne aur maiñ nihāyat mutma.in thā kal ko le kar ye manzar yuuñ nahīñ kuchh aur honā chāhiye thā aur bahut mumkin hai hotā bhī agar mujh ko zarā āgāh kar detī vo kutiyā vo mirī billī