لوگ سہہ لیتے تھے ہنس کر کبھی بے زاری بھی
لوگ سہہ لیتے تھے ہنس کر کبھی بے زاری بھی اب تو مشکوک ہوئی اپنی ملن ساری بھی وار کچھ خالی گئے میرے تو پھر آ ہی گئی اپنے دشمن کو دعا دینے کی ہشیاری بھی عمر بھر کس نے بھلا غور سے دیکھا تھا مجھے وقت کم ہو تو سجا دیتی ہے بیماری بھی کس طرح آئے ہیں اس پہلی ملاقات تلک اور مکمل ہے جدا ہونے کی تیاری بھی اوب جاتا ہوں ذہانت کی نمائش سے تو پھر لطف دیتا ہے یہ لہجہ مجھے بازاری بھی عمر بڑھتی ہے مگر ہم وہیں ٹھہرے ہوئے ہیں ٹھوکریں کھائیں تو کچھ آئے سمجھ داری بھی اب جو کردار مجھے کرنا ہے مشکل ہے بہت مست ہونے کا دکھاوا بھی ہے سر بھاری بھی
English rendering
log sah lete the hañs kar kabhī be-zārī bhī ab to mashkūk huī apnī milan-sārī bhī vaar kuchh ḳhālī ga.e mere to phir aa hī ga.ī apne dushman ko duā dene kī hushyārī bhī umr bhar kis ne bhalā ġhaur se dekhā thā mujhe vaqt kam ho to sajā detī hai bīmārī bhī kis tarah aa.e haiñ is pahlī mulāqāt talak aur mukammal hai judā hone kī tayyārī bhī uub jaatā huuñ zehānat kī numā.ish se to phir lutf detā hai ye lahja mujhe bāzārī bhī umr baḌhtī hai magar ham vahīñ Thahre hue haiñ Thokareñ khā.īñ to kuchh aa.e samajhdārī bhī ab jo kirdār mujhe karnā hai mushkil hai bahut mast hone kā dikhāvā bhī hai sar bhārī bhī