ماحول بنانے والے جملے
آدھا سگریٹ پی کر پھینک دیا میں نے اس کے حصے کا جس کے غم میں سنتا ہوں دنیا کو میں نے چھوڑ دیا اور میں خاموشی سے بیٹھا سوچ رہا ہوں یہ دنیا بھی کون سی دنیا میں جیتی ہے دنیا چھوڑ دی میں نے اور خود مجھ کو یہ معلوم نہیں ہے یہ بھی سننے میں آیا ہے جب سے اس کی موت ہوئی ہے گم صم ہوں میں دور خلا میں جانے کیا تکتا رہتا ہوں دور خلا میں تکنا کیا اچھا جملہ ہے مجھ کو بھی اچھا لگتا ہے کہنے والوں کو تو اور زیادہ اچھا لگتا ہوگا جھوٹ ہے سب کچھ لیکن کیوں تردید کروں میں یہی تو وہ جملے ہیں جو ماحول بنائے رکھتے ہیں کچھ ورنہ سچی بات تو یہ ہے کوشش کر کے آنکھوں کو نم رکھنا شیو بڑھائے رکھنا یہ بھی ایک طرح کا سکھ ہے مجھے تو اس کی موت سے بڑھ کر اس کے غم کی موت کا دکھ ہے
English rendering
aadhā cigarette pī kar pheñk diyā maiñ ne us ke hisse kā jis ke ġham meñ suntā huuñ duniyā ko maiñ ne chhoḌ diyā aur maiñ ḳhāmoshī se baiThā soch rahā huuñ ye duniyā bhī kaun sī duniyā meñ jiitī hai duniyā chhoḌ dī maiñ ne aur ḳhud mujh ko ye mā'lūm nahīñ hai ye bhī sunñe meñ aayā hai jab se us kī maut huī hai gum-sum huuñ maiñ duur ḳhalā meñ jaane kyā taktā rahtā huuñ duur ḳhalā meñ taknā kyā achchhā jumla hai mujh ko bhī achchhā lagtā hai kahne vāloñ ko to aur ziyāda achchhā lagtā hogā jhuuT hai sab kuchh lekin kyoñ tardīd karūñ maiñ yahī to vo jumle haiñ jo māhaul banā.e rakhte haiñ kuchh varna sachchī baat to ye hai koshish kar ke āñkhoñ ko nam rakhnā shave baḌhā.e rakhnā ye bhī ek tarah kā sukh hai mujhe to us kī maut se baḌh kar us ke ġham kī maut kā dukh hai