مر کے وہ زندوں میں شامل ہو گیا
مر کے وہ زندوں میں شامل ہو گیا مدتوں سے سارا گھر بے چین تھا رات دن کی وہ اذیت شام ہوتی تھی تو ڈر جاتے تھے ہم ایسی چیخیں جو دلوں کو بھید دیں ہر گھڑی پیشاب اور ناپاک جسم گیلا بستر رات کے پچھلے پہر میں کپڑے پہنانا اس ایسے جسم کو جو بیٹھ بھی سکتا نہ ہو اور اس پر جرم کا احساس اس رشتہ سے جو ہم سب کا تھا اس جسم سے آج جب خالی ہے وہ کونا تو سچ مچ لگ رہا ہے مر کے وہ زندوں میں شامل ہو گیا اور اس کی موت سے ہم سب بھی شاید
English rendering
mar ke vo zindoñ meñ shāmil ho gayā muddatoñ se saarā ghar bechain thā raat din kī vo aziyyat shaam hotī thī to Dar jaate the ham aisī chīḳheñ jo diloñ ko bhed deñ har ghaḌī peshāb or nāpāk jism giilā bistar raat ke pichhle pahar meñ kapḌe pahnānā us aise jism ko jo baiTh bhī saktā na ho aur us par jurm kā ehsās us rishte se jo ham sab kā thā us jism se aaj jab ḳhālī hai vo konā to sach-much lag rahā hai mar ke vo zindoñ meñ shāmil ho gayā aur us kī maut se ham sab bhī shāyad