مرنے والے سے جلن
ذرا سا غم نہیں چہرے پہ ان کے میاں سر پر کوئی رومال ہی رکھ لو انہیں تو موت آنا ہی نہیں ہے وہی طعنے وہی فقرے ابھی تک میرا پیچھا کر رہے ہیں ہر جنازے میں میں اپنی چال کی رفتار تھوڑی اور کم کر کے نکل آتا ہوں باہر بھیڑ سے اور رک کے اک دکان پر سگریٹ جلاتا ہوں جنازہ دور ہوتا جا رہا ہے یہ سب کیا ہے؟ اداکاری نہیں آتی مجھے تو کیا کروں میں اور سچی بات کہہ دوں تو مجھے پاگل سمجھ لے گی یہ دنیا ہاں یہ سچ ہے مجھے رتی برابر غم نہیں ہوتا کسی کی موت کا اور یہ بھی سن لو مری جس مسکراہٹ پر یہاں ناراض ہیں سب سبب اس کا جلن ہے جو میں محسوس کرتا ہوں کسی بھی مرنے والے سے کڑھن ہوتی ہے مجھ کو سوچ کر کہ میں جس امتحاں کے خوف سے بے حال اور بے چپن پھرتا ہوں وہ یہ صاحب جو کاندھوں پر ہیں ان کا ہو چکا اور میرا باقی ہے
English rendering
zarā sā ġham nahīñ chehre pe in ke miyāñ sar par koī rūmāl hī rakh lo inheñ to maut aanā hī nahīñ hai vahī ta.ane vahī fiqre abhī tak merā pīchhā kar rahe haiñ har janāze meñ maiñ apnī chaal kī raftār thoḌī aur kam kar ke nikal aatā huuñ bāhar bhiiḌ se aur ruk ke ik dukān par cigarette jalātā huuñ janāza duur hotā jā rahā hai ye sab kyā hai? adākārī nahīñ aatī mujhe to kyā karūñ maiñ aur sachchī baat kah duuñ to mujhe pāgal samajh legī ye duniyā haañ ye sach hai mujhe rattī barābar ġham nahīñ hotā kisī kī maut kā aur ye bhī sun lo mirī jis muskurāhaT par yahāñ nārāz haiñ sab sabab is kā jalan hai jo maiñ mahsūs kartā huuñ kisī bhī marne vaale se kuḌhan hotī hai mujh ko soch kar ki maiñ jis imtihāñ ke ḳhauf se behāl aur be-chain phirtā huuñ vo ye sāhab jo kāñdhoñ par haiñ un kā ho chukā aur merā baaqī hai