مشق
تو وہ سب مشق تھی بے پردگی کی جو مجھے پچھلے کئی ایک سال سے ان اسپتالوں میں کرائی جا رہی تھی جہاں پر قید تھا میں کبھی مجھ کو مرے ہی پھیپھڑوں کی ایکس رے میں قید تصویریں دکھا کر کبھی پیشاب کی تھیلی لگا کر کہ میں پوری طرح بے شرم ہو جاؤں اس اک لمحے کے آنے تک جب اک انجان ہاتھ غسل کے تختے پہ بالکل بے جھجک عضو تناسل میں مرے پیشاب کی بوندیں ٹٹولے اور مجھے جیسے جہاں جی چاہے چھو لے
English rendering
to vo sab mashq thī be-pardagī kī jo mujhe pichhle ka.ī ek saal se un aspatāloñ meñ karā.ī jā rahī thī jahāñ par qaid thā maiñ kabhī mujh ko mire hī phephaḌoñ kī x-ray meñ qaid tasvīreñ dikhā kar kabhī peshāb kī thailī lagā kar ki maiñ puurī tarah be-sharm ho jā.ūñ us ik lamhe ke aane tak jab ik anjān haath ġhusl ke taḳhte pe bilkul be-jhijak uzv-e-tanāsul meñ mire peshāb kī būñdeñ TaTole aur mujhe jaise jahāñ jī chāhe chhū le