مضحکہ خیز یہ کردار ہوا جاتا ہے
مضحکہ خیز یہ کردار ہوا جاتا ہے وہ جو عاشق تھا اداکار ہوا جاتا ہے گفتگو کر کے پریشاں ہوں کہ لہجے میں ترے وہ کھلا پن ہے کہ دیوار ہوا جاتا ہے کھیل ہے اس کے لیے ترک تعلق کا خیال اور کوئی سوچ کے بیمار ہوا جاتا ہے فرق اتنا تو پڑا ہے کہ ملاقات کے دن اب ذرا دیر سے تیار ہوا جاتا ہے ایک ہی جیسے ہیں ہم سب کے مسائل شاید میرا غم سب کا سروکار ہوا جاتا ہے ہم تو لہروں سے فقط کھیلنے آئے تھے یہاں اور سمندر ہے کہ بیدار ہوا جاتا ہے نیند پر جتنے کڑے پہرے لگاتا ہوں میں خواب کا راستہ ہموار ہوا جاتا ہے
English rendering
maz.haka-ḳhez ye kirdār huā jaatā hai vo jo 'āshiq thā adākār huā jaatā hai guftugū kar ke pareshāñ huuñ ki lahje meñ tire vo khulā-pan hai ki dīvār huā jaatā hai khel hai us ke liye tark-e-ta'alluq kā ḳhayāl aur koī soch ke bīmār huā jaatā hai farq itnā to paḌā hai ki mulāqāt ke din ab zarā der se tayyār huā jaatā hai ek hī jaise haiñ ham sab ke masā.il shāyad merā ġham sab kā sarokār huā jaatā hai ham to lahroñ se faqat khelne aa.e the yahāñ aur samundar hai ki bedār huā jaatā hai niiñd par jitne kaḌe pahre lagātā huuñ maiñ ḳhvāb kā rāsta hamvār huā jaatā hai