مجھ میں ہے جو درویش وہ مر جائے تو اچھا
مجھ میں ہے جو درویش وہ مر جائے تو اچھا دنیا مجھے دنیا ہی نظر آئے تو اچھا دوبارہ کہیں تازہ نہ ہو جائیں مرے زخم سوتے میں ترا شہر گزر جائے تو اچھا بہلاؤں گا کب تک میں اسے جھوٹی چمک سے سونے کا یہ پانی بھی اتر جائے تو اچھا ہوتے ہیں بڑی عمر کے اپنے بہت آزار یہ زخم جوانی میں ہی بھر جائے تو اچھا دنیا کے سوالات پہ خاموش رہیں ہم دونوں ہی کے گھر ایک خبر جائے تو اچھا وحشی کو وہاں لا کے جنوں چھوڑ گیا ہے گھر جائے تو اچھا نہیں گھر جائے تو اچھا
English rendering
mujh meñ hai jo darvesh vo mar jaa.e to achchhā duniyā mujhe duniyā hī nazar aa.e to achchhā dobāra kahīñ taaza na ho jaa.eñ mire zaḳhm sote meñ tirā shahr guzar jaa.e to achchhā bahlā.ūñgā kab tak maiñ use jhūTī chamak se sone kā ye paanī bhī utar jaa.e to achchhā hote haiñ baḌī 'umr ke apne bahut āzār ye zaḳhm javānī meñ hī bhar jaa.e to achchhā duniyā ke savālāt pe ḳhāmosh raheñ ham donoñ hī ke ghar ek ḳhabar jaa.e to achchhā vahshī ko vahāñ lā ke junūñ chhoḌ gayā hai ghar jaa.e to achchhā nahīñ ghar jaa.e to achchhā