ممکن ہی نہ تھی خود سے شناسائی یہاں تک
ممکن ہی نہ تھی خود سے شناسائی یہاں تک لے آیا مجھے میرا تماشائی یہاں تک رستہ ہو اگر یاد تو گھر لوٹ بھی جاؤں لائی تھی کسی اور کی بینائی یہاں تک شاید تہہ دریا میں چھپا تھا کہیں صحرا میری ہی نظر دیکھ نہیں پائی یہاں تک محفل میں بھی تنہائی نے پیچھا نہیں چھوڑا گھر میں نہ ملا میں تو چلی آئی یہاں تک صحرا ہے تو صحرا کی طرح پیش بھی آئے آیا ہے اسی شوق میں سودائی یہاں تک اک کھیل تھا اور کھیل میں سوچا بھی نہیں تھا جڑ جائے گا مجھ سے وہ تماشائی یہاں تک یہ عمر ہے جو اس کی خطاوار ہے شارقؔ رہتی ہی نہیں باتوں میں سچائی یہاں تک
English rendering
mumkin hī na thī ḳhud se shanāsā.ī yahāñ tak le aayā mujhe merā tamāshā.ī yahāñ tak rasta ho agar yaad to ghar lauT bhī jā.ūñ laa.ī thī kisī aur kī bīnā.ī yahāñ tak shāyad tah-e-dariyā meñ chhupā thā kahīñ sahrā merī hī nazar dekh nahīñ paa.ī yahāñ tak mahfil meñ bhī tanhā.ī ne pīchhā nahīñ chhoḌā ghar meñ na milā maiñ to chalī aa.ī yahāñ tak sahrā hai to sahrā kī tarah pesh bhī aa.e aayā hai isī shauq meñ saudā.ī yahāñ tak ik khel thā aur khel meñ sochā bhī nahīñ thā juḌ jā.egā mujh se vo tamāshā.ī yahāñ tak ye umr hai jo us kī ḳhatā-vār hai 'shāriq' rahtī hī nahīñ bātoñ meñ sachchā.ī yahāñ tak