ناجائز ہے جو بھی شکایت ہے میری
ناجائز ہے جو بھی شکایت ہے میری ہونا ہی گر اصل مصیبت ہے میری تجھ سے ہی ہر زخم مرا منسوب نہیں دنیا بھی ناکام محبت ہے میری میں بھی اوب چکا ہوں شور شرابے سے صحرا کو بھی جان غنیمت ہے میری ایسے مرتا دیکھ رہے ہیں لوگ مجھے جیسے یہ بھی کوئی شرارت ہے میری آخر مجھ سے خطرہ کیا ہے دنیا کو کیوں اتنی ہر وقت حفاظت ہے میری یہ جو میری چپ ہے یہ با معنی چپ یہی شکایت یہی بغاوت ہے میری
English rendering
nā-jā.ez hai jo bhī shikāyat hai merī honā hī gar asl musībat hai merī tujh se hī har zaḳhm mirā mansūb nahīñ duniyā bhī nākām mohabbat hai merī maiñ bhī uub chukā huuñ shor-sharābe se sahrā ko bhī jaan ġhanīmat hai merī aise martā dekh rahe haiñ log mujhe jaise ye bhī koī sharārat hai merī āḳhir mujh se ḳhatra kyā hai duniyā ko kyoñ itnī har vaqt hifāzat hai merī ye jo merī chup hai ye bā-mā’nī chup yahī shikāyat yahī baġhāvat hai merī