نہیں میں حوصلہ تو کر رہا تھا
نہیں میں حوصلہ تو کر رہا تھا ذرا تیرے سکوں سے ڈر رہا تھا اچانک جھینپ کر ہنسنے لگا میں بہت رونے کی کوشش کر رہا تھا بھنور میں پھر ہمیں کچھ مشغلے تھے وہ بیچارہ تو ساحل پر رہا تھا لرزتے کانپتے ہاتھوں سے بوڑھا چلم میں پھر کوئی دکھ بھر رہا تھا اچانک لو اٹھی اور جل گیا میں بجھی کرنوں کو یکجا کر رہا تھا گلہ کیا تھا اگر سب ساتھ ہوتے وہ بس تنہا سفر سے ڈر رہا تھا غلط تھا روکنا اشکوں کو یوں بھی کہ بنیادوں میں پانی مر رہا تھا
English rendering
nahīñ maiñ hausla to kar rahā thā zarā tere sukūñ se Dar rahā thā achānak jheñp kar hañsne lagā maiñ bahut rone kī koshish kar rahā thā bhañvar meñ phir hameñ kuchh mashġhale the vo bechāra to sāhil par rahā thā larazte kāñpte hāthoñ se būḌhā chilam meñ phir koī dukh bhar rahā thā achānak lau uThī aur jal gayā maiñ bujhī kirnoñ ko yakjā kar rahā thā gila kyā thā agar sab saath hote vo bas tanhā safar se Dar rahā thā ġhalat thā roknā ashkoñ ko yuuñ bhī ki buniyādoñ meñ paanī mar rahā thā