قصوروار نہ ٹھہرائیے خدا کے لئے
قصوروار نہ ٹھہرائیے خدا کے لئے ہمارا بوجھ زیادہ تھا اس ہوا کے لئے ہوئی وہ عشق میں حالت کہ مسجدوں میں تمام ہمارا نام پکارا گیا دعا کے لئے ملال دل میں اگر کوئی ہے تو اتنا ہے کہ میری عمر زیادہ تھی اس خطا کے لئے کھلا کہ ہم ہی نہیں ہیں گناہ گار ترے قطار بند ہوئے لوگ جب سزا کے لئے چلے تو آئے ہو مرنے کو اسپتالوں میں ذرا سی دھول کو ترسو گے نقش پا کے لئے ذرا سی بات تھی تجھ سے مجھے ملانا تھا یہ کام اتنا بڑا ہو گیا خدا کے لئے
English rendering
qusūr-vār na Thahrā.iye ḳhudā ke liye hamārā bojh ziyāda thā is havā ke liye huī vo 'ishq meñ hālat ki masjidoñ meñ tamām hamārā naam pukārā gayā du'ā ke liye malāl dil meñ agar koī hai to itnā hai ki merī 'umr ziyāda thī us ḳhatā ke liye khulā ki ham hī nahīñ haiñ gunāhgār tire qatār-band hue log jab sazā ke liye chale to aa.e ho marne ko aspatāloñ meñ zarā sī dhuul ko tarsoge naqsh-e-pā ke liye zarā sī baat thī tujh se mujhe milānā thā ye kaam itnā baḌā ho gayā ḳhudā ke liye