رات بے پردہ سی لگتی ہے مجھے
رات بے پردہ سی لگتی ہے مجھے خوف نے ایسی نظر دی ہے مجھے آہ اس معصوم کو کیسے بتاؤں کیوں اسے کھونے کی جلدی ہے مجھے جوش میں ہیں اس قدر تیماردار ٹھیک ہوتے شرم آتی ہے مجھے اک لطیفہ جو سمجھ میں بھی نہ آئے اس پہ ہنسنا کیوں ضروری ہے مجھے منتشر ہونے لگے سارے خیال نیند بس آنے ہی والی ہے مجھے اب جنوں کم ہونے والا ہے مرا خیر اتنی تو تسلی ہے مجھے لاکھ مدھم ہو تری چاہت کی لو روشنی اتنی ہی کافی ہے مجھے گرد ہے بارود کی سر میں تو کیا موت اک افواہ لگتی ہے مجھے
English rendering
raat be-parda sī lagtī hai mujhe ḳhauf ne aisī nazar dī hai mujhe aah is ma.asūm ko kaise batā.ūñ kyuuñ use khone kī jaldī hai mujhe josh meñ haiñ is qadar tīmārdār Thiik hote sharm aatī hai mujhe ik latīfa jo samajh meñ bhī na aa.e us pe hañsnā kyuuñ zarūrī hai mujhe muntashir hone lage saare ḳhayāl niiñd bas aane hī vaalī hai mujhe ab junūñ kam hone vaalā hai mirā ḳhair itnī to tasallī hai mujhe laakh maddham ho tirī chāhat kī lau raushnī utnī hī kaafī hai mujhe gard hai bārūd kī sar meñ to kyā maut ik afvāh lagtī hai mujhe