روتا ہوا بکرا
وہی بکرا مرا مریل سا بکرا جسے ببلو کے بکرے نے بہت مارا تھا وہ بکرا وہ کل پھر خواب میں آیا تھا میرے دہاڑیں مار کر روتا ہوا اور نیند سے اٹھ کر ہمیشہ کی طرح رونے لگا میں خطا میری تھی میں نے ہی لڑایا تھا اسے ببلو کے بکرے سے اسے معلوم تھا پٹنا ہے اس کو مگر پھر بھی وہ اس موٹے سے جا کر بھڑ گیا تھا مری عزت کی خاطر وہ بھی قربانی سے بس کچھ دیر پہلے مگر پاپا تو کہتے ہیں وہ جنت میں بہت آرام سے ہوگا وہاں انگور کھا کر خوب موٹا ہو گیا ہوگا تو کیوں روتا ہے وہ خوابوں میں آ کر وہ کیوں روتا ہے آ کر خواب میں یہ تو نہیں معلوم مجھ کو مجھے تو یہ پتا ہے وہ جب جب خواب میں روتا ہوا آیا ہے میرے تو اگلے روز ببلو کو بہت مارا ہے میں نے
English rendering
vahī bakrā mirā mariyal sā bakrā jise bablū ke bakre ne bahut maarā thā vo bakrā vo kal phir ḳhvāb meñ aayā thā mere dahāḌeñ maar kar rotā huā aur niiñd se uTh kar hamesha kī tarah rone lagā maiñ ḳhatā merī thī maiñ ne hī laḌāyā thā use bablū ke bakre se use ma.alūm thā piTnā hai us ko magar phir bhī vo us moTe se jā kar bhiḌ gayā thā mirī izzat kī ḳhātir vo bhī qurbānī se bas kuchh der pahle magar paapā to kahte haiñ vo jannat meñ bahut ārām se hogā vahāñ angūr khā kar ḳhuub moTā ho gayā hogā to kyuuñ rotā hai vo ḳhvāboñ meñ aa kar vo kyuuñ rotā hai aa kar ḳhvāb meñ ye to nahīñ ma.alūm mujh ko mujhe to ye patā hai vo jab jab ḳhvāb meñ rotā huā aayā hai mere to agle roz bablū ko bahut maarā hai maiñ ne