سچ تو بیٹھ کے کھاتا ہے
سچ تو بیٹھ کے کھاتا ہے جھوٹ کما کر لاتا ہے یاد بھی کوئی آتا ہے یاد تو رکھا جاتا ہے جیسے لفظ ہوں ویسا ہی منہ کا مزہ ہو جاتا ہے پھر دشمن بڑھ جائیں گے کس کو دوست بناتا ہے کیسی خشک ہوائیں ہیں صبح سے دن چڑھ جاتا ہے اسے گھٹا کر دنیا میں باقی کیا رہ جاتا ہے جانے وہ اس چہرہ پر کس کا دھوکہ کھاتا ہے عشق سے بڑھ کر کون ہمیں دنیا دار بناتا ہے دل جیسا معصوم بھی آج اپنی عقل چلاتا ہے کچھ تو ہے جو صرف یہاں میری سمجھ میں آتا ہے مشکل سن لی جاتی ہے کوئی کرم فرماتا ہے
English rendering
sach to baiTh ke khātā hai jhūTh kamā kar laatā hai yaad bhī koī aatā hai yaad to rakkhā jaatā hai jaise lafz hoñ vaisā hī muñh kā maza ho jaatā hai phir dushman baḌh jā.eñge kis ko dost banātā hai kaisī ḳhushk havā.eñ haiñ sub.h se din chaḌh jaatā hai use ghaTā kar duniyā meñ baaqī kyā rah jaatā hai jaane vo is chehre par kis kā dhoka khātā hai ishq se baḌh kar kaun hameñ duniyā-dār banātā hai dil jaisā ma.asūm bhī aaj apnī aql chalātā hai kuchh to hai jo sirf yahāñ merī samajh meñ aatā hai mushkil sun lī jaatī hai koī karam farmātā hai