سفر حالانکہ تیرے ساتھ اچھا چل رہا ہے
سفر حالانکہ تیرے ساتھ اچھا چل رہا ہے برابر سے مگر اک اور رستہ چل رہا ہے زبانی کھیل بن کر رہ گیا ہے عشق اپنا جہاں وعدے کے بدلے صرف وعدہ چل رہا ہے کہاں تک بزم میں بیٹھا رہوں نظریں جھکائے جدھر دیکھو ادھر کوئی اشارہ چل رہا ہے ہمیں یہ بیچ جھگڑے میں اچانک یاد آیا کہ اس کے ساتھ تو جھگڑا ہمارا چل رہا ہے کبھی بستر سے اٹھے بھی تو یہ چیخیں سنی ہیں کھلونا چل گیا دیکھو کھلونا چل رہا ہے ہر اک محفل میں ہوتا تھا نیا انداز اپنا مگر اب مدتوں سے ایک چہرہ چل رہا ہے
English rendering
safar hālāñki tere saath achchhā chal rahā hai barābar se magar ik aur rasta chal rahā hai zabānī khel ban kar rah gayā hai 'ishq apnā jahāñ vā'de ke badle sirf vā'da chal rahā hai kahāñ tak bazm meñ baiThā rahūñ nazreñ jhukā.e jidhar dekho udhar koī ishāra chal rahā hai hameñ ye biich jhagḌe meñ achānak yaad aayā ki is ke saath to jhagḌā hamārā chal rahā hai kabhī bistar se uTThe bhī to ye chīḳheñ sunī haiñ khilaunā chal gayā dekho khilaunā chal rahā hai har ik mahfil meñ hotā thā nayā andāz apnā magar ab muddatoñ se ek chehra chal rahā hai