شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

سفر سے مجھ کو بد دل کر رہا تھا

سفر سے مجھ کو بد دل کر رہا تھا بھنور کا کام ساحل کر رہا تھا وہ سمجھا ہی کہاں اس مرتبے کو میں اس کو دکھ میں شامل کر رہا تھا ہماری فتح تھی مقتول ہونا یہی کوشش تو قاتل کر رہا تھا کوئی تو تھا مرے ہی قافلے میں جو میرا کام مشکل کر رہا تھا وہ ٹھکرا کر گیا اس دور میں جب میں جو چاہوں وہ حاصل کر رہا تھا تری باتوں میں یوں بھی آ گیا میں بھٹکنے کا بہت دل کر رہا تھا کوئی مجھ سا ہی دیوانہ تھا شاید جو ویرانے میں محفل کر رہا تھا یہ دل خود غرض دل غم خوار تیرا خوشی غم میں بھی حاصل کر رہا تھا سمجھتا تھا میں سازش آئنے کی مجھے میرے مقابل کر رہا تھا

— شارق کیفی

English rendering

safar se mujh ko bad-dil kar rahā thā bhañvar kā kaam sāhil kar rahā thā vo samjhā hī kahāñ us martabe ko maiñ us ko dukh meñ shāmil kar rahā thā hamārī fat.h thī maqtūl honā yahī koshish to qātil kar rahā thā koī to thā mire hī qāfile meñ jo merā kaam mushkil kar rahā thā vo Thukrā kar gayā is daur meñ jab maiñ jo chāhūñ vo hāsil kar rahā thā tirī bātoñ meñ yuuñ bhī aa gayā maiñ bhaTakne kā bahut dil kar rahā thā koī mujh sā hī dīvāna thā shāyad jo vīrāne meñ mahfil kar rahā thā ye dil ḳhud-ġharz dil ġham-ḳhvār terā ḳhushī ġham meñ bhī hāsil kar rahā thā samajhtā thā maiñ sāzish aa.ine kī mujhe mere muqābil kar rahā thā

‹ کلام کی فہرست پر واپس