سلیقہ شرط ہے بس
سلیقہ شرط ہے بس اگر اتنا ہنر بھی سیکھ لیں ہم کہ اک خرگوش کو کیسے اٹھایا جائے کانوں سے پکڑ کر کہ اک بلی کے بچے کو اگر ہم چھیڑنا چاہیں تو گردن پر وہاں چٹکی بھریں جہاں سے ماں اسے منہ میں دبا کر گھر بدلتی ہے تو پھر سب کو یہاں تفریح کے ساماں مہیا ہیں تو پھر چھوٹا بڑا کوئی شکایت کر نہیں سکتا کھلونوں کی
English rendering
salīqa shart hai bas agar itnā hunar bhī siikh leñ ham ki ik ḳhargosh ko kaise uThāyā jaa.e kānoñ se pakaḌ kar ki ik billī ke bachche ko agar ham chheḌnā chāheñ to gardan par vahāñ chuTkī bhareñ jahāñ se maañ use muñh meñ dabā kar ghar badaltī hai to phir sab ko yahāñ tafrīh ke sāmāñ muhayyā haiñ to phir chhoTā baḌā koī shikāyat kar nahīñ saktā khilaunoñ kī