شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

سمجھ لو خوب یہ فتویٰ ابھی جاری نہیں ہے

سمجھ لو خوب یہ فتویٰ ابھی جاری نہیں ہے جدا ہونا جدا ہونے کی تیاری نہیں ہے بری ہے اس لئے بھی شہر کی صحت ہمارے کسی کو عشق جیسی کوئی بیماری نہیں ہے کہا تھا بے سبب دیکھو گے اپنوں کے جنازے جئے جانے کی ضد کرنا سمجھ داری نہیں ہے یہاں ہم چل دئے ہیں بات کہنے جان دینے وہاں پر مسکرانے کی بھی تیاری نہیں ہے وہی نشہ کیا ہے عشق کا نشہ دوبارہ مگر اس بار اتنا میرا سر بھاری نہیں ہے

— شارق کیفی

English rendering

samajh lo ḳhuub ye fatvā abhī jaarī nahīñ hai judā honā judā hone kī tayyārī nahīñ hai burī hai is liye bhī shahr kī sehhat hamāre kisī ko 'ishq jaisī koī bīmārī nahīñ hai kahā thā be-sabab dekhoge apnoñ ke janāze ji.e jaane kī zid karnā samajhdārī nahīñ hai yahāñ ham chal diye haiñ baat kahne jaan dene vahāñ par muskurāne kī bhī tayyārī nahīñ hai vahī nashsha kiyā hai 'ishq kā nashsha dubāra magar is baar utnā merā sar bhārī nahīñ hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس