تماشائی نہ مل پائے
توجہ وہ یہاں کس کو ملی ہے خدا نے کیا کسر چھوڑی تھی کوئی توجہ کھینچنے کی مگر کیا ہاتھ آیا تماشا گاہ تک لائے گئے تھے مفت میں ہم ٹکٹ بھی واپسی کا جیب میں اس نے ہماری رکھ دیا تھا کہ ہم بے فکر ہو کر کھیل کا اس کے مزہ لیں فقط تعریف کرنے کے عوض تالی بجانے کے عوض جنت بڑا انعام تھا تماشے روشنیوں کے بھی سب دلچسپ تھے مگر پھر بھی ہمیں ایسا نہیں لگتا تماشہ دھیان سے دیکھا کسی نے وہ جس اک واہ کی خاطر یہ سارا انتظام اس نے کیا تھا دلوں سے وہ کبھی نکلی کسی کے اگر یہ سب خدا کے ساتھ ہو سکتا ہے تو ہم کیا ہمارے چھوٹے موٹے کھیل کیا بازی گری کیا سبب بنتا نہیں شکوے کا کوئی بلا مطلب تماشہ دیکھنے والوں سے اپنے ہم خفا ہیں خدا کو جب یہاں اچھے تماشائی نہ مل پائے تو ہم کیا ہیں
English rendering
tavajjoh vo yahāñ kis ko milī hai ḳhudā ne kyā kasar chhoḌī thī koī tavajjoh khīñchne kī magar kyā haath aayā tamāshā-gāh tak laa.e ga.e the muft meñ ham ticket bhī vāpsī kā jeb meñ us ne hamārī rakh diyā thā ki ham be-fikr ho kar khel kā us ke maza leñ faqat tā'rīf karne ke 'evaz taalī bajāne ke 'evaz jannat baḌā in'ām thā tamāshe raushnīyoñ ke bhī sab dilchasp the magar phir bhī hameñ aisā nahīñ lagtā tamāsha dhyān se dekhā kisī ne vo jis ik vaah kī ḳhātir ye saarā intizām us ne kiyā thā diloñ se vo kabhī niklī kisī ke agar ye sab ḳhudā ke saath ho saktā hai to ham kyā hamāre chhoTe moTe khel kyā bāzīgarī kyā sabab bantā nahīñ shikve kā koī bilā matlab tamāsha dekhne vāloñ se apne ham ḳhafā haiñ ḳhudā ko jab yahāñ achchhe tamāshā.ī na mil paa.e to ham kyā haiñ