تن سے جب تک سانس کا رشتہ رہے گا
تن سے جب تک سانس کا رشتہ رہے گا میرے اشکوں میں ترا حصہ رہے گا دور تک کوئی شناسا ہو نہیں ہو بھیڑ میں اچھا مگر لگتا رہے گا ایسے چھٹکارا نہیں دینا ہے اس کو میں اگر مر جاؤں تو کیسا رہے گا طے تو ہے الگاؤ بس یہ سوچنا ہے کون سی رت میں یہ دکھ اچھا رہے گا خود سے میری صلح ممکن ہی نہیں ہے جب تلک اس گھر میں آئینہ رہے گا یوں تو اب بستر ہے اور بیمار لیکن سانس لینے میں مزہ آتا رہے گا میں نے کتنے دن کسی کو یاد رکھا وہ بھی کیوں میرے لئے روتا رہے گا
English rendering
tan se jab tak saañs kā rishta rahegā mere ashkoñ meñ tirā hissa rahegā duur tak koī shanāsā ho nahīñ ho bhiiḌ meñ achchhā magar lagtā rahegā aise chhuTkārā nahīñ denā hai us ko maiñ agar mar jā.ūñ to kaisā rahegā tai to hai algāv bas ye sochnā hai kaun sī rut meñ ye dukh achchhā rahegā ḳhud se merī sulh mumkin hī nahīñ hai jab talak is ghar meñ ā.īna rahegā yuuñ to ab bistar hai aur bīmār lekin saañs lene meñ maza aatā rahegā maiñ ne kitne din kisī ko yaad rakkhā vo bhī kyuuñ mere liye rotā rahegā