تری طرف سے تو ہاں مان کر ہی چلنا ہے
تری طرف سے تو ہاں مان کر ہی چلنا ہے کہ سارا کھیل اس امید پر ہی چلنا ہے قدم ٹھہر ہی گئے ہیں تری گلی میں تو پھر یہاں سے کوئی دعا مانگ کر ہی چلنا ہے رہے ہو ساتھ تو کچھ وقت اور دے دو ہمیں یہاں سے لوٹ کے بس اب تو گھر ہی چلنا ہے مخالفت پہ ہواؤں کی کیوں پریشاں ہوں تمہاری سمت اگر عمر بھر ہی چلنا ہے کوئی امید نہیں کھڑکیوں کو بند کرو کہ اب تو دشت بلا کا سفر ہی چلنا ہے ذرا سا قرب میسر تو آئے اس کا مجھے کہ اس کے بعد زباں کا ہنر ہی چلنا ہے
English rendering
tirī taraf se to haañ maan kar hī chalnā hai ki saarā khel is ummīd par hī chalnā hai qadam Thahar hī ga.e haiñ tirī galī meñ to phir yahāñ se koī du'ā maañg kar hī chalnā hai rahe ho saath to kuchh vaqt aur de do hameñ yahāñ se lauT ke bas ab to ghar hī chalnā hai muḳhālifat pe havāoñ kī kyoñ pareshāñ hoñ tumhārī samt agar 'umr-bhar hī chalnā hai koī umiid nahīñ khiḌkiyoñ ko band karo ki ab to dasht-e-balā kā safar hī chalnā hai zarā sā qurb mayassar to aa.e us kā mujhe ki us ke baa'd zabāñ kā hunar hī chalnā hai