تجھ سے وابستہ شاعری کے بغیر
تجھ سے وابستہ شاعری کے بغیر کچھ نہیں میں تری کمی کے بغیر ہے بڑا کام با وفا رہنا بے وفائی کی تازگی کے بغیر تم تو پہچاننا ہی بھول گئے لمس کو میرے روشنی کے بغیر شکریہ آپ کی محبت کا میں بہت خوش ہوں اس خوشی کے بغیر کیا بتاؤں مجھے وہ کیسا لگا جانی پہچانی بے رخی کے بغیر ویسے مشکل تو میری عام سی ہے حل نہیں ہوگی خود کشی کے بغیر میں تجھے کیسے جان سکتا تھا تیرے دشمن سے دوستی کے بغیر
English rendering
tujh se vābasta shā'irī ke baġhair kuchh nahīñ maiñ tirī kamī ke baġhair hai baḌā kaam bā-vafā rahnā bevafā.ī kī tāzgī ke baġhair tum to pahchānñā hī bhuul ga.e lams ko mere raushnī ke baġhair shukriya aap kī mohabbat kā maiñ bahut ḳhush huuñ is ḳhushī ke baġhair kyā batā.ūñ mujhe vo kaisā lagā jānī-pahchānī be-ruḳhī ke baġhair vaise mushkil to merī 'aam sī hai hal nahīñ hogī ḳhud-kushī ke baġhair maiñ tujhe kaise jaan saktā thā tere dushman se dostī ke baġhair