اداس ہیں سب پتا نہیں گھر میں کیا ہوا ہے
اداس ہیں سب پتا نہیں گھر میں کیا ہوا ہے ہمارا اتنا خیال کیوں رکھا جا رہا ہے کچھ اتنا خوش فہم ہو گیا ہوں کہ اپنا چہرہ پرائی آنکھوں سے جب بھی دیکھا برا لگا ہے ابھی تو اچھی لگے گی کچھ دن جدائی کی رت ابھی ہمارے لیے یہ سب کچھ نیا نیا ہے خوشی ہوئی تھی کہ اب میں تنہا نہیں ہوں لیکن یہ شخص تو میرے ساتھ چلتا ہی جا رہا ہے مجھے تو اس بات کی خوشی ہے کہ اب بھی مجھ میں کسی پہ بھی اعتبار کرنے کا حوصلہ ہے
English rendering
udaas haiñ sab patā nahīñ ghar meñ kyā huā hai hamārā itnā ḳhayāl kyuuñ rakkhā jā rahā hai kuchh itnā ḳhush-fahm ho gayā huuñ ki apnā chehra parā.ī āñkhoñ se jab bhī dekhā burā lagā hai abhī to achchhī lagegī kuchh din judā.ī kī rut abhī hamāre liye ye sab kuchh nayā nayā hai ḳhushī huī thī ki ab maiñ tanhā nahīñ huuñ lekin ye shaḳhs to mere saath chaltā hī jā rahā hai mujhe to is baat kī ḳhushī hai ki ab bhī mujh meñ kisī pe bhī e'tibār karne kā hausla hai