عمر محدود ہے
ایک سگریٹ نہیں جیب میں لیٹ ہونے کا مطلب بجھانا ہے اب بیڑیاں مانگ کر مجھ کو اپنی طلب پھر چلی دو قدم چل کے پھر رک گئی میری چھکڑا سی ٹرین کیا ہوا پوچھتا ہوں کراس ہے کئی کہتا ہے مجھ سے اور میں پھر سے اک بار نیچے اتر کر ٹہلنے لگا پٹریوں کے کنارے پڑے پتھروں پر بڑبڑاتا ہوا یوں تو جلدی پہنچ کے بھی گھر کام کوئی نہیں ہے مگر اس سے کیا عمر تو میری محدود ہے اور جب عمر محدود ہے کوئی کیسے گھڑی کی طرف دیکھنا چھوڑ دے
English rendering
ek cigarette nahīñ jeb meñ laTe hone kā matlab bujhānā hai ab bīḌiyāñ maañg kar mujh ko apnī talab phir chalī do qadam chal ke phir ruk ga.ī merī chhakḌā sī train kyā huā pūchhtā huuñ cross hai koī kahtā hai mujh se aur maiñ phir se ik baar nīche utar kar Tahalne lagā paTriyoñ ke kināre paḌe pattharoñ par baḌbaḌātā huā yuuñ to jaldī pahuñch ke bhī ghar kaam koī nahīñ hai magar is se kyā 'umr to merī mahdūd hai aur jab 'umr mahdūd hai koī kaise ghaḌī kī taraf dekhnā chhoḌ de