ولیمہ ختم ہونے کے بعد
خدا جانے بلاوے ٹھیک سے بانٹے نہیں لڑکے نے یا مجھ سے پرانی دشمنی کوئی نکالی ہے گلی والوں نے میرے نہ آ کر جو کھانا بچ گیا اتنا بہ ہر صورت مجھے کیا فرق پڑتا ہے وہ جس کو سانس کا آزار ہو اس کو بھلا زردے سے بریانی سے کیا مطلب کہیں بانٹو اسے میری بلا سے مگر جو لکڑیاں تندور کی باقی بچی ہیں یہ کہیں پر دھیان سے رکھ دو اسی جاڑے میں ممکن ہے تمہیں ان کی ضرورت ہو نہ جانے کیوں ہمیشہ سے مجھے لگتا ہے میری موت کے دن رات کو کہرہ بہت ہو گا
English rendering
ḳhudā jaane bulāve Thiik se bāñTe nahīñ laḌke ne yā mujh se purānī dushmanī koī nikālī hai galī vāloñ ne mere na aa kar jo khānā bach gayā itnā ba-har-sūrat mujhe kyā farq paḌtā hai vo jis ko saañs kā āzār ho us ko bhalā zarde se biryānī se kyā matlab kahīñ bāñTo ise merī balā se magar jo lakḌiyāñ tandūr kī baaqī bachī haiñ ye kahīñ par dhyān se rakh do isī jaaḌe meñ mumkin hai tumheñ in kī zarūrat ho na jaane kyoñ hamesha se mujhe lagtā hai merī maut ke din raat ko kohra bahut hogā