وہ بکرا پھر اکیلا پڑ گیا ہے
وہ بکرا پھر اکیلا پڑ گیا ہے کہ مرا ہاتھ بھی ڈونگے میں اچھی بوٹیوں کو ڈھونڈتا ہے وہی بکرا کھڑا رکھا گیا ہے جس کو کونے میں نگاہوں سے چھپا کر وہ جس کی زندگی ہے منحصر اس بات پر کہ ہم کھائیں گے کتنا اور کتنا چھوڑ دیں گے بس یوں ہی اپنی پلیٹوں میں ابھی کچھ دیر پہلے میں کھڑا تھا پاس جس کے اور جس کے زاویے سے دیکھ کر محفل کو آنکھیں ڈبڈبا آئی تھیں میری مگر وہ پل کبھی کا جا چکا تھا کہ اب ہوں میز پر میں اور میرا ہاتھ بھی ڈونگے میں اچھی بوٹیوں کو ڈھونڈتا ہے وہ بکر پھر اکیلا پڑ گیا ہے
English rendering
vo bakrā phir akelā paḌ gayā hai ki mirā haath bhī Doñge meñ achchhī boTiyoñ ko DhūñDtā hai vahī bakrā khaḌā rakkhā gayā hai jis ko kone meñ nigāhoñ se chhupā kar vo jis kī zindagī hai munhasir is baat par ki ham khā.eñge kitnā aur kitnā chhoḌ deñge bas yuuñ hī apnī paleToñ meñ abhī kuchh der pahle maiñ khaḌā thā paas jis ke aur jis ke zāviye se dekh kar mahfil ko āñkheñ DabDabā aa.ī thiiñ merī magar vo pal kabhī kā jā chukā thā ki ab huuñ mez par maiñ aur merā haath bhī Doñge meñ achchhī boTiyoñ ko DhūñDtā hai vo bakrā phir akelā paḌ gayā hai