شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

یہ کچھ بدلاؤ سا اچھا لگا ہے

یہ کچھ بدلاؤ سا اچھا لگا ہے ہمیں اک دوسرا اچھا لگا ہے سمجھنا ہے اسے نزدیک جا کر جسے مجھ سا برا اچھا لگا ہے یہ کیا ہر وقت جینے کی دعائیں یہاں ایسا بھی کیا اچھا لگا ہے سفر تو زندگی بھر کا ہے لیکن یہ وقفہ سا ذرا اچھا لگا ہے مری نظریں بھی ہیں اب آسماں پر کوئی محو دعا اچھا لگا ہے ہوئے برباد جس کے عشق میں ہم وہ اب جا کر ذرا اچھا لگا ہے وہ سورج جو مرا دشمن تھا دن بھر مجھے ڈھلتا ہوا اچھا لگا ہے کوئی پوچھے تو کیا بتلائیں گے ہم کہ اس منظر میں کیا اچھا لگا ہے

— شارق کیفی

English rendering

ye kuchh badlāv sā achchhā lagā hai hameñ ik dūsrā achchhā lagā hai samajhnā hai use nazdīk jā kar jise mujh sā burā achchhā lagā hai ye kyā har vaqt jiine kī duā.eñ yahāñ aisā bhī kyā achchhā lagā hai safar to zindagī bhar kā hai lekin ye vaqfa sā zarā achchhā lagā hai mirī nazreñ bhī haiñ ab āsmāñ par koī mahv-e-duā achchhā lagā hai hue barbād jis ke ishq meñ ham vo ab jā kar zarā achchhā lagā hai vo sūraj jo mirā dushman thā din bhar mujhe Dhaltā huā achchhā lagā hai koī pūchhe to kyā batlā.eñge ham ki is manzar meñ kyā achchhā lagā hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس