شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

ضبط کا خرچ

ضبط کو سوچ کر خرچ کرتا ہوں میں ہر کسی پر نہیں ہر جگہ پر نہیں اس لئے میری آنکھیں کبھی خشک ہوتی نہیں ایسا لگتا ہے ہر بات پر جیسے رونے کو تیار بیٹھا ہوں میں دوستوں سے ہوئی بد زبانی پہ بھی دکھ بھری دوسروں کی کہانی پہ بھی یوں کہ میں ضبط کو خرچ کرنا نہیں چاہتا چھوٹی موٹی کسی بات پر ہاں مگر بڑے واقعے جب ہوئے یہاں تک کہ جب میرے گھر سے جنازے اٹھے تب کسی نے مری آنکھ میں ایک آنسو بھی دیکھا نہیں کوئی یہ سوچتا ہے اگر کہ اس نے مجھے اپنے غم میں رلا کر بڑا معرکہ کوئی سر کر لیا ہے تو پاگل ہے وہ

— شارق کیفی

English rendering

zabt ko soch kar ḳharch kartā huuñ maiñ har kisī par nahīñ har jagah par nahīñ is liye merī āñkheñ kabhī ḳhushk hotī nahīñ aisā lagtā hai har baat par jaise rone ko tayyār baiThā huuñ maiñ dostoñ se huī bad-zabānī pe bhī dukh-bharī dūsroñ kī kahānī pe bhī yuuñ ki maiñ zabt ko ḳharch karnā nahīñ chāhtā chhoTī-moTī kisī baat par haañ magar baḌe vāqa’e jab hue yahāñ tak ki jab mere ghar se janāze uThe tab kisī ne mirī aañkh meñ ek aañsū bhī dekhā nahīñ koī ye sochtā hai agar ki us ne mujhe apne ġham meñ rulā kar baḌā mā'raka koī sar kar liyā hai to pāgal hai vo

‹ کلام کی فہرست پر واپس