ذرا بھی بدلی نہیں جو بھی اس کی عادت تھی
ذرا بھی بدلی نہیں جو بھی اس کی عادت تھی ملا تو آج بھی لہجے میں اجنبیت تھی وہ دن بھی تھے کہ ان آنکھوں میں اتنی حیرت تھی تمام بازی گروں کو مری ضرورت تھی وہ بات سوچ کے میں جس کو مدتوں جیتا بچھڑتے وقت بتانے کی کیا ضرورت تھی پتہ نہیں یہ تمنائے قرب کب جاگی مجھے تو صرف اسے سوچنے کی عادت تھی خموشیوں نے پریشاں کیا تو ہو گا مگر پکارنے کی یہی صرف ایک صورت تھی گئے بھی جان سے اور کوئی مطمئن نہ ہوا کہ پھر دفاع نہ کرنے کی ہم پہ تہمت تھی کہیں پہ چوک رہے ہیں یہ آئنے شاید نہیں تو عکس میں اب تک مری شباہت تھی ہزار بار اشاروں میں اس کو سمجھایا مگر اسے تو مرے جھوٹ سے محبت تھی منا لیا ہے اسے پھر اسی کی شرطوں پر تمام عمر کسے روٹھنے کی فرصت تھی ہر اک قدم پہ بہت سوچنا پڑا مجھ کو کہ امتحاں بھی وہیں تھے جہاں اجازت تھی یہ اس کی شکل سے کیوں میرے خد و خال ابھرے اسے بھی فکر بہت تھی مجھے بھی حیرت تھی
English rendering
zarā bhī badlī nahīñ jo bhī us kī 'ādat thī milā to aaj bhī lahje meñ ajnabiyyat thī vo din bhī the ki in āñkhoñ meñ itnī hairat thī tamām bāzīgaroñ ko mirī zarūrat thī vo baat soch ke maiñ jis ko muddatoñ jiitā bichhaḌte vaqt batāne kī kyā zarūrat thī pata nahīñ ye tamannā-e-qurb kab jaagī mujhe to sirf use sochne kī 'ādat thī ḳhamoshiyoñ ne pareshāñ kiyā to hogā magar pukārne kī yahī sirf ek sūrat thī ga.e bhī jaan se aur koī mutma.in na huā ki phir difā' na karne kī ham pe tohmat thī kahīñ pe chuuk rahe haiñ ye aa.ine shāyad nahīñ to 'aks meñ ab tak mirī shabāhat thī hazār baar ishāroñ meñ us ko samjhāyā magar use to mire jhūTh se mohabbat thī manā liyā hai use phir usī kī shartoñ par tamām 'umr kise rūThne kī fursat thī har ik qadam pe bahut sochnā paḌā mujh ko ki imtihāñ bhī vahīñ the jahāñ ijāzat thī ye us kī shakl se kyoñ mere ḳhadd-o-ḳhāl ubhre use bhī fikr bahut thī mujhe bhī hairat thī