جو بندۂ خدا تھا خدا ہونے والا ہے
جو بندۂ خدا تھا خدا ہونے والا ہے کیا کچھ ابھی تو جلوہ نما ہونے والا ہے یہ بھی درست ہے کہ پیمبر نہیں ہوں میں ہے یہ بھی سچ کہ میرا کہا ہونے والا ہے کچھ اشک خوں بچا کے بھی رکھیے کہ شہر میں جو ہو چکا ہے اس سے سوا ہونے والا ہے وہ وقت ہے کہ خلق پہ ہر ظلم ناروا اللہ کا نام لے کے روا ہونے والا ہے اک خوف ہے کہ ہونے ہی والا ہے جا گزیں اک خواب ہے کہ سب سے جدا ہونے والا ہے رنگ ہوا میں ہے عجب اسرار سا کوئی کوئی بھی جانتا نہیں کیا ہونے والا ہے خوش تھا سیاہ خانۂ دل میں بہت لہو اس قید سے مگر یہ رہا ہونے والا ہے یہ تیر آخری ہے بس اس کی کمان میں اور وہ بھی دیکھ لینا خطا ہونے والا ہے اک لہر ہے کہ مجھ میں اچھلنے کو ہے ظفرؔ اک لفظ ہے کہ مجھ سے ادا ہونے والا ہے
English rendering
Jo banda khuda tha khuda hone wala hai Kya kuch abhi to jalwa-numa hone wala hai Ye bhi durust hai ki paighambar nahin huun main Hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai Kuch ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein Jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai Wo waqt hai ki khalq pe har zulm-e-narawa Allah ka naam le ke rawa hone wala hai Ek khauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin Ek khwab hai ki sab se juda hone wala hai Rang hawa mein hai ajab asrar sa koi Koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai Khush tha siyah-khana-e-dil mein bahut lahu Is qaid se magar ye riha hone wala hai Ye teer akhiri hai bas us ki kaman mein Aur wo bhi dekh lena khata hone wala hai Ek lehr hai ki mujh mein uchhalne ko hai Zafar Ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai