زبیر قلزم

زبیر قلزم

شاعر — Zubair Qulzam

تعارف شاعری

دل سے ہی جب اتر گیا ہے وہ

دل سے ہی جب اتر گیا ہے وہ غزض کیا ہے کدھر گیا ہے وہ ہجر کا غم تو ہے مگر دکھ یہ پہلے سے بھی نکھر گیا ہے وہ ہائے وعدہ وفا کا بھولا نہیں سیدھا سیدھا مکر گیا ہے وہ سن کے اچھا لگا رقیب مرے تم سے بھی ہاتھ کر گیا ہے وہ آئینہ جو دکھاتا پھرتا تھا دیکھ کر خود بھی ڈر گیا ہے وہ آپ آئے ہیں جس سے ملنے ہجر پر صبر کر گیا ہے وہ اپنے در کا مجھے بنا کہ فقیر اور خود در بدر گیا ہے وہ مر نہ جائے کہیں وہ وحشت سے ہوش میں آج گھر گیا ہے آپ قلزم سے ملنے آئے ہیں آہ کل رات مر گیا ہے وہ

— زبیر قلزم

English rendering

Dil se hi jab utar gaya hai woh Gharaz kya hai kidhar gaya hai woh Hijr ka gham to hai magar dukh yeh Pehle se bhi nikhar gaya hai woh Haaye waada wafa ka bhoola nahin Seedha seedha mukar gaya hai woh Sun ke achha laga raqeeb mere Tum se bhi haath kar gaya hai woh Aayina jo dikhata phirta tha Dekh kar khud bhi dar gaya hai woh Aap aaye hain jis se milne Hijr par sabr kar gaya hai woh Apne dar ka mujhe bana ke faqeer Aur khud dar ba dar gaya hai woh Mar na jaaye kahin woh wahshat se Hosh mein aaj ghar gaya hai Aap Qulzum se milne aaye hain Aah kal raat mar gaya hai woh

‹ کلام کی فہرست پر واپس