جو دیا تو نے ہمیں و ہ صورتِ زر رکھ لیا
جو دیا تو نے ہمیں و ہ صورتِ زر رکھ لیا تو نے پتھر دے دیا تو ہم نے پتھر ر کھ لیا سسکیوں نے چار سو دیکھا کوئی ڈھارس نہ تھی ایک تنہائی تھی اس کی گود میں سر رکھ لیا گھٹ گیا تہذیب کے گنبد میں ہر خواہش کا دم جنگلوں کا مور ہم نے گھر کے اندر رکھ لیا میرے بالوں پہ سجا دی گرم صحراؤں کی دھول اپنی آنکھوں کے لیے اس نے سمندر رکھ لیا درز تک سے اب نہ پھوٹے گی تمنا کی پھوار چشمۂ خواہش پہ ہم نے دل کا پتھر رکھ لیا وہ جو اڑ کر جا چکا ہے دور میرے ہاتھ سے اس کی اک بچھڑی نشانی، طاق میں پر رکھ لیا دید کی جھولی کہیں خالی نہ رہ جائے عدؔیم ہم نے آنکھوں میں تیرے جانے کا منظر رکھ لیا پھینک دیں گلیاں برونِ صحن سب اس نے عدیم گھر کہ جو مانگا تھا میں نے، وہ پسِ در رکھ لیا
English rendering
Jo diyā tū ne hameñ woh sūrat-e-zar rakh liyā Tū ne patthar de diyā to ham ne patthar rakh liyā Siskiyoñ ne chār sū dekhā koī ḍhāras na thī Ek tanhāī thī us kī god meñ sar rakh liyā Ghaṭ gayā tahzīb ke gumbad meñ har khvāhish kā dam Jangaloñ kā mor ham ne ghar ke andar rakh liyā Mere bāloñ pe sajā dī garm sahrāoñ kī dhūl Apnī āñkhoñ ke liye us ne samandar rakh liyā Darz tak se ab na phūṭe gī tamannā kī phuvār Chashma-e-khvāhish pe ham ne dil kā patthar rakh liyā Woh jo uṛ kar jā chukā hai dūr mere haath se Us kī ik bichhṛī nishānī, tāq meñ par rakh liyā Dīd kī jholī kahīñ khālī na rah jaae Adīmؔ Ham ne āñkhoñ meñ tere jaane kā manzar rakh liyā Phenk dīñ galiyāñ barūn-e-sahn sab us ne Adīmؔ Ghar ki jo māñgā thā maiñ ne, woh pas-e-dar rakh liyā