عدیم ہاشمی

عدیم ہاشمی

شاعر — Adeem Hashmi

تعارف شاعری

نظریں ملیں تو پیار کا اظہار کر گیا

نظریں ملیں تو پیار کا اظہار کر گیا بولا تو بات بات سے ا نکار کر گیا آنکھوں نے خشت خشت چنی رات کی فصیل خورشید صبح پھر ا سے مسمار کر گیا جتنا اڑا ہوں اتنا فلک بھی ہوا بلند کون اس قفس میں مجھ کو گرفتار کر گیا بن بن کے پانیوں کے بھنور ٹوٹتے گئے میں ڈوبتا ہوا بھی ندی پار کر گیا ورنہ یہ بوجھ کون اٹھاتا تمام عمر اچھا ہوا کہ پہلے وہی وار کر گیا میں لفظ ڈھونڈ ڈھونڈ کے تھک بھی گیا عدؔیم وہ پھول دے کے بات کا اظہار کر گیا

— عدیم ہاشمی

English rendering

Nazreñ milīñ to pyār kā izhār kar gayā Bolā to bāt bāt se inkār kar gayā Āñkhoñ ne khisht khisht chunī rāt kī fasīl Khūrshed-e-subh phir use mismār kar gayā Jitnā uṛā hūñ utnā falak bhī huā buland Kaun is qafas meñ mujhe giraftār kar gayā Ban ban ke pāniyoñ ke bhañvar ṭūṭ'te ga'e Maiñ ḍūbtā huā bhī nadī pār kar gayā Varna yeh bojh kaun uṭhātā tamām umr Achchhā huā ki pahle vahī vār kar gayā Maiñ lafz ḍhūñḍ ḍhūñḍ ke thak bhī gayā Adīmؔ Woh phūl de ke bāt kā izhār kar gayā

‹ کلام کی فہرست پر واپس