سر صحرا مسافر کو ستارہ یاد رہتا ہے
سر صحرا مسافر کو ستارہ یاد رہتا ہے میں چلتا ہوں مجھے چہرہ تمہارا یاد رہتا ہے تمہارا ظرف ہے تم کو محبت بھول جاتی ہے ہمیں تو جس نے ہنس کر بھی پکارا یاد رہتا ہے محبت میں جو ڈوبا ہو اسے ساحل سے کیا لینا کسے اس بحر میں جا کر کنارہ یاد رہتا ہے بہت لہروں کو پکڑا ڈوبنے والے کے ہاتھوں نے یہی بس ایک دریا کا نظارہ یاد رہتا ہے صدائیں ایک سی یکسانیت میں ڈوب جاتی ہیں ذرا سا مختلف جس نے پکارا یاد رہتا ہے میں کس تیزی سے زندہ ہوں میں یہ تو بھول جاتا ہوں نہیں آنا ہے دنیا میں دوبارہ یاد رہتا ہے
English rendering
Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai Main chalta hoon mujhe chehra tumhara yaad rehta hai Tumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jaati hai Hamein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rehta hai Mohabbat mein jo dooba ho use saahil se kya lena Kise is bahr mein ja kar kinara yaad rehta hai Bahut lehron ko pakda doobne wale ke haathon ne Yahi bas ek dariya ka nazara yaad rehta hai Sadaayen ek si yaksaniyat mein doob jaati hain Zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta hai Main kis tezi se zinda hoon main yeh to bhool jaata hoon Nahin aana hai duniya mein dobara yaad rehta hai