اجمل سراج

اجمل سراج

شاعر — Ajmal Siraj

تعارف شاعری

کسی کی قید سے آزاد ہو کے رہ گئے ہیں

کسی کی قید سے آزاد ہو کے رہ گئے ہیں تباہ ہو گئے برباد ہو کے رہ گئے ہیں اب اور کیا ہو تمنائے وصل کا انجام دل و دماغ تری یاد ہو کے رہ گئے ہیں کہیں تو قصۂ احوال مختصر یہ ہے ہم اپنے عشق کی روداد ہو کے رہ گئے ہیں کسی کی یاد دلوں کا قرار ٹھہری ہے کسی کے ذکر سے دل شاد ہو کے رہ گئے ہیں ترے حضور جو رشک بہار تھے اجملؔ خراب و خوار ترے بعد ہو کے رہ گئے ہیں

— اجمل سراج

English rendering

Kisi ki qaid se aazad ho ke reh gaye hain Tabah ho gaye barbaad ho ke reh gaye hain Ab aur kya ho tamanna-e-wasl ka anjaam Dil-o-dimagh teri yaad ho ke reh gaye hain Kahein to qissa-e-ahwaal mukhtasar yeh hai Hum apne ishq ki rudaad ho ke reh gaye hain Kisi ki yaad dilon ka qarar thehri hai Kisi ke zikr se dil shaad ho ke reh gaye hain Tere huzoor jo rashk-e-bahar the Ajmal Kharab-o-khwar tere baad ho ke reh gaye hain

‹ کلام کی فہرست پر واپس