حشر تک یاں دل شکیبا چاہئے
حشر تک یاں دل شکیبا چاہئے کب ملیں دلبر سے دیکھا چاہئے ہے تجلی بھی نقاب روئے یار اس کو کن آنکھوں سے دیکھا چاہئے غیر ممکن ہے نہ ہو تاثیر غم حال دل پھر اس کو لکھا چاہئے ہے دل افگاروں کی دل داری ضرور گر نہیں الفت مدارا چاہئے ہے کچھ اک باقی خلش امید کی یہ بھی مٹ جائے تو پھر کیا چاہئے دوستوں کی بھی نہ ہو پروا جسے بے نیازی اس کی دیکھا چاہئے بھا گئے ہیں آپ کے انداز و ناز کیجئے اغماض جتنا چاہئے شیخ ہے ان کی نگہ جادو بھری صحبت رنداں سے بچنا چاہئے لگ گئی چپ حالیؔ رنجور کو حال اس کا کس سے پوچھا چاہئے
English rendering
hashr tak yāñ dil shakībā chāhiye kab mileñ dilbar se dekhā chāhiye hai tajallī bhī naqāb-e-rū-e-yār us ko kin āñkhoñ se dekhā chāhiye ġhair mumkin hai na ho tāṣīr-e-gham hāl-e-dil phir us ko likhā chāhiye hai dil-afgāroñ kī dil-dārī zarūr gar nahīñ ulfat mudārā chāhiye hai kuchh ik bāqī ḳhalish-e-umīd kī ye bhī miṭ jā'e to phir kyā chāhiye dostoñ kī bhī na ho parvā jise be-niyāzī us kī dekhā chāhiye bhā ga'e haiñ aap ke andāz-o-nāz kījiye iġhmāz jitnā chāhiye shaiḳh hai un kī nigah jādū bharī sohbat-e-rindāñ se bachnā chāhiye lag ga'ī chup Hālī-e-ranjūr ko hāl us kā kis se pūchhā chāhiye