جنوں کار فرما ہوا چاہتا ہے
جنوں کار فرما ہوا چاہتا ہے قدم دشت پیما ہوا چاہتا ہے دم گریہ کس کا تصور ہے دل میں کہ اشک اشک دریا ہوا چاہتا ہے خط آنے لگے شکوہ آمیز ان کے ملاپ ان سے گویا ہوا چاہتا ہے بہت کام لینے تھے جس دل سے ہم کو وہ صرف تمنا ہوا چاہتا ہے ابھی لینے پائے نہیں دم جہاں میں اجل کا تقاضا ہوا چاہتا ہے مجھے کل کے وعدے پہ کرتے ہیں رخصت کوئی وعدہ پورا ہوا چاہتا ہے فزوں تر ہے کچھ ان دنوں ذوق عصیاں در رحمت اب وا ہوا چاہتا ہے قلق گر یہی ہے تو راز نہانی کوئی دن میں رسوا ہوا چاہتا ہے وفا شرط الفت ہے لیکن کہاں تک؟ دل اپنا بھی تجھ سا ہوا چاہتا ہے بہت حظ اٹھاتا ہے دل تجھ سے مل کر قلق دیکھیے کیا ہوا چاہتا ہے غم رشک کو تلخ سمجھے تھے ہمدم سو وہ بھی گوارا ہوا چاہتا ہے بہت چین سے دن گزرتے ہیں حالیؔ کوئی فتنہ برپا ہوا چاہتا ہے
English rendering
junūñ kār-farmā huā chāhtā hai qadam dasht-paimā huā chāhtā hai dam-e-girya kis kā tasavvur hai dil meñ ki ashk ashk daryā huā chāhtā hai ḳhat aane lage shikva-āmez un ke milāp un se goyā huā chāhtā hai bahut kām lene the jis dil se ham ko vo sirf tamannā huā chāhtā hai abhī lene pā'e nahīñ dam jahāñ meñ ajal kā taqāzā huā chāhtā hai mujhe kal ke wa'de pe karte haiñ ruḳhsat ko'ī wa'da pūrā huā chāhtā hai fazūñ-tar hai kuchh in dinoñ zauq-e-iṣyāñ dar-e-rehmat ab vā huā chāhtā hai qalaq gar yahī hai to rāz-e-nihānī ko'ī din meñ rusvā huā chāhtā hai wafā shart-e-ulfat hai lekin kahāñ tak? dil apnā bhī tujh sā huā chāhtā hai bahut haz uṭhātā hai dil tujh se mil kar qalaq dekhiye kyā huā chāhtā hai gham-e-rashk ko talḳh samjhe the hamdam so vo bhī gavārā huā chāhtā hai bahut chain se din guzarte haiñ Hālī ko'ī fitna barpā huā chāhtā hai