حفیظ جالندھری

حفیظ جالندھری

شاعر — Hafeez Jalandhari

تعارف شاعری

دل بے مدعا ہے اور میں ہوں

دل بے مدعا ہے اور میں ہوں مگر لب پر دعا ہے اور میں ہوں نہ ساقی ہے نہ اب وہ شے ہے باقی مرا دور آ گیا ہے اور میں ہوں ادھر دنیا ہے اور دنیا کے بندے ادھر میرا خدا ہے اور میں ہوں کوئی پرساں نہیں پیر مغاں کا فقط میری وفا ہے اور میں ہوں ابھی میعاد باقی ہے ستم کی محبت کی سزا ہے اور میں ہوں نہ پوچھو حال میرا کچھ نہ پوچھو کہ تسلیم و رضا ہے اور میں ہوں یہ طول عمر نامعقول و بے کیف بزرگوں کی دعا ہے اور میں ہوں لہو کے گھونٹ پینا اور جینا مسلسل اک مزا ہے اور میں ہوں حفیظؔ ایسی فلاکت کے دنوں میں فقط شکر خدا ہے اور میں ہوں

— حفیظ جالندھری

English rendering

Dil be-muddaa hai aur mein hoon Magar lab par dua hai aur mein hoon Na saqi hai na ab woh shai hai baqi Mira daur aa gaya hai aur mein hoon Idhar duniya hai aur duniya ke bande Idhar mera Khuda hai aur mein hoon Koi pursaan nahin peer-e-mughan ka Faqat meri wafa hai aur mein hoon Abhi mi'aad baqi hai sitam ki Mohabbat ki saza hai aur mein hoon Na poochho haal mera kuchh na poochho Ke tasleem-o-raza hai aur mein hoon Yeh tool-e-umr nama'qool-o-be-kaif Buzurgon ki dua hai aur mein hoon Lahu ke ghoont peena aur jeena Musalsal ek maza hai aur mein hoon Hafeez aisi falakat ke dinon mein Faqat shukr Khuda hai aur mein hoon

‹ کلام کی فہرست پر واپس