اک بار پھر وطن میں گیا جا کے آ گیا
اک بار پھر وطن میں گیا جا کے آ گیا لخت جگر کو خاک میں دفنا کے آ گیا ہر ہم سفر پہ خضر کا دھوکا ہوا مجھے آب بقا کی راہ سے کترا کے آ گیا حور لحد نے چھین لیا تجھ کو اور میں اپنا سا منہ لیے ہوئے شرما کے آ گیا دل لے گیا مجھے تری تربت پہ بار بار آواز دے کے بیٹھ کے اکتا کے آ گیا رویا کہ تھا جہیز ترا واجب الادا مینہ موتیوں کا قبر پہ برسا کے آ گیا میری بساط کیا تھی حضور رضائے دوست تنکا سا ایک سامنے دریا کے آ گیا اب کے بھی راس آئی نہ حب وطن حفیظؔ اب کے بھی ایک تیر قضا کھا کے آ گیا
English rendering
Ik bār phir vatan meñ gayā jā ke ā gayā Laḳht-e-jigar ko ḳhāk meñ dafnā ke ā gayā Har ham-safar pe Khizr kā dhokā huā mujhe Āb-e-baqā kī rāh se katrā ke ā gayā Hūr-e-lahad ne chhīn liyā tujh ko aur maiñ Apnā sā munh liye hue sharmā ke ā gayā Dil le gayā mujhe tirī turbat pe bār-bār Āvāz de ke baiṭh ke uktā ke ā gayā Royā ki thā jahez tirā vājib-ul-adā Mīñh motiyoñ kā qabr pe barsā ke ā gayā Merī bisāṭ kyā thī huzūr-e-razā-e-dost Tinkā sā ek sāmne dariyā ke ā gayā Ab ke bhī rās aa.ī na hubb-e-vatan Hafīzؔ Ab ke bhī ek tīr-e-qazā khā ke ā gayā