مدتوں تک جو پڑھایا کیا استاد مجھے
مدتوں تک جو پڑھایا کیا استاد مجھے عشق میں بھول گیا کچھ نہ رہا یاد مجھے کیا میں دیوانہ ہوں یارب کہ سر راہ گزر دور سے گھورنے لگتے ہیں پری زاد مجھے اب ہے آواز کی وہ شان نہ بازو کی اڑان اور صیاد کیے دیتا ہے آزاد مجھے داد خواہی کے لیے اور تو ساماں نہ ملا نالہ و آہ پہ رکھنی پڑی بنیاد مجھے میرے شعروں پہ وہ شرمائے تو احباب ہنسے اے حفیظؔ آج غزل کی یہ ملی داد مجھے
English rendering
Muddatōñ tak jo paṛhāyā kyā ustād mujhe Ishq meñ bhūl gayā kuchh na rahā yaad mujhe Kyā maiñ dīvāna hūñ yā-rab ki sar-e-rāh-guzar Dūr se ghūrne lagte haiñ parī-zād mujhe Ab hai āvāz kī vo shān na bāzū kī uṛān Aur sayyād kiye detā hai āzād mujhe Dād-ḳhwāhī ke liye aur to sāmāñ na milā Nāla-o-āh pe rakhnī paṛī buniyād mujhe Mere sheroñ pe vo sharmā.e to ahbāb hanse Ai Hafīzؔ āj ghazal kī yeh milī dād mujhe