حفیظ جالندھری

حفیظ جالندھری

شاعر — Hafeez Jalandhari

تعارف شاعری

یہ ملاقات ملاقات نہیں ہوتی ہے

یہ ملاقات ملاقات نہیں ہوتی ہے بات ہوتی ہے مگر بات نہیں ہوتی ہے باریابی کا برا ہو کہ اب ان کے در پر اگلے وقتوں کی مدارات نہیں ہوتی ہے غم تو گھنگھور گھٹاؤں کی طرح اٹھتے ہیں ضبط کا دشت ہے برسات نہیں ہوتی ہے یہ مرا تجربہ ہے حسن کوئی چال چلے بازیٔ عشق کبھی مات نہیں ہوتی ہے وصل ہے نام ہم آہنگی و یک رنگی کا وصل میں کوئی بری بات نہیں ہوتی ہے ہجر تنہائی ہے سورج ہے سوا نیزے پر دن ہی رہتا ہے یہاں رات نہیں ہوتی ہے ضبط گریہ کبھی کرتا ہوں تو فرماتے ہیں آج کیا بات ہے برسات نہیں ہوتی ہے مجھے اللہ کی قسم شعر میں تحسین بتاں میں جو کرتا ہوں میری ذات نہیں ہوتی ہے فکر تخلیق سخن مسند راحت پہ حفیظ باعث کشف و کرامات نہیں ہوتی ہے

— حفیظ جالندھری

English rendering

Yeh mulāqāt mulāqāt nahīñ hotī hai Baat hotī hai magar baat nahīñ hotī hai Bāryābī kā burā ho ki ab un ke dar par Agale vaqtoñ kī mudārāt nahīñ hotī hai Gham to ghunghor ghaṭāoñ kī tarah uṭhte haiñ Zabt kā dasht hai barsāt nahīñ hotī hai Yeh mirā tajruba hai husn koī chāl chale Bāzī-e-ishq kabhī māt nahīñ hotī hai Vasl hai nām ham-āhangī-o-yak-rangī kā Vasl meñ koī burī baat nahīñ hotī hai Hijr tanhāī hai sūraj hai savā neze par Din hī rahtā hai yahāñ raat nahīñ hotī hai Zabt-e-girya kabhī kartā hūñ to farmāte haiñ Aaj kyā baat hai barsāt nahīñ hotī hai Mujhe Allāh kī qasam sher meñ tahsīn-e-butāñ Maiñ jo kartā hūñ mirī zāt nahīñ hotī hai Fikr-e-taḳhlīq-e-suḳhan masnad-e-rāhat pe Hafīzؔ Bā'is-e-kashf-o-karāmāt nahīñ hotī hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس