زندگی سے نباہ مشکل ہے
زندگی سے نباہ مشکل ہے یہ مسلسل گناہ مشکل ہے ہاں مرے خیر خواہ مشکل ہے تیرے ہاتھوں پناہ مشکل ہے دوستی ہی میں دشمنی بھی ہو یہ نئی رسم و راہ مشکل ہے ارتکابِ گناہ سہل نہیں انتخابِ گناہ مشکل ہے اے مری جان! اے مرے ایمان! اب ہمارا نباہ مشکل ہے ہم سے اس مسئلے پہ بات نہ کر فقر اے بادشاہ مشکل ہے چاہتا کیا ہے دل؟ یہ آگاہی گاہ آسان، گاہ مشکل ہے طور تو دور ہے خود اپنے حضور فرصتِ یک نگاہ مشکل ہے ابنِ آدم کو ابنِ آدم سے قبر میں بھی پناہ مشکل ہے مرتے رہنا مگر جیے جانا کس قدر بے پناہ مشکل ہے ان سے یاری حفیظؔ صاحب جی یوں بحالِ تباہ مشکل ہے
English rendering
Zindagi se nibāh mushkil hai Yeh musalsal gunāh mushkil hai Hāñ mire khair-ḳhwāh mushkil hai Tere hāthoñ panāh mushkil hai Dostī hī meñ dushmanī bhī ho Yeh naī rasm-o-rāh mushkil hai Irtikāb-e-gunāh sahl nahīñ Intiḳhāb-e-gunāh mushkil hai Ai mirī jān! Ai mire īmān! Ab hamārā nibāh mushkil hai Ham se is mas'ale pe baat na kar Faqr ai bādshāh mushkil hai Chāhtā kyā hai dil? Yeh āgahī Gāh āsān, gāh mushkil hai Tūr to dūr hai ḳhud apne huzūr Fursat-e-yak nigāh mushkil hai Ibn-e-ādam ko ibn-e-ādam se Qabr meñ bhī panāh mushkil hai Marte rahnā magar jiye jānā Kis qadar be-panāh mushkil hai Un se yārī Hafīzؔ sāhab jī Yūñ ba-hāl-e-tabāh mushkil hai