جون ایلیا

جون ایلیا

شاعر — Jaun Elia

تعارف شاعری

حالت حال کے سبب حالت حال ہی گئی

حالت حال کے سبب حالت حال ہی گئی شوق میں کچھ نہیں گیا شوق کی زندگی گئی تیرا فراق جان جاں عیش تھا کیا مرے لیے یعنی ترے فراق میں خوب شراب پی گئی تیرے وصال کے لیے اپنے کمال کے لیے حالت دل کہ تھی خراب اور خراب کی گئی اس کی امید ناز کا ہم سے یہ مان تھا کہ آپ عمر گزار دیجیے عمر گزار دی گئی ایک ہی حادثہ تو ہے اور وہ یہ کہ آج تک بات نہیں کہی گئی بات نہیں سنی گئی بعد بھی تیرے جان جاں دل میں رہا عجب سماں یاد رہی تری یہاں پھر تری یاد بھی گئی اس کے بدن کو دی نمود ہم نے سخن میں اور پھر اس کے بدن کے واسطے ایک قبا بھی سی گئی مینا بہ مینا مے بہ مے جام بہ جام جم بہ جم ناف پیالے کی ترے یاد عجب سہی گئی کہنی ہے مجھ کو ایک بات آپ سے یعنی آپ سے آپ کے شہر وصل میں لذت ہجر بھی گئی صحن خیال یار میں کی نہ بسر شب فراق جب سے وہ چاندنا گیا جب سے وہ چاندنی گئی

— جون ایلیا

English rendering

Hālat-e-hāl ke sabab hālat-e-hāl hi gayi Shauq mein kuch nahin gaya shauq ki zindagi gayi Tera firāq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye Ya'ni tere firāq mein khoob sharāb pee gayi Tere visāl ke liye apne kamāl ke liye Hālat-e-dil ke thi kharab aur kharab ki gayi Us ki ummeed-e-nāz ka hum se yeh maan tha ke aap Umar guzār deejiye umar guzār di gayi Ek hi hādisa toh hai aur woh yeh ke aaj tak Baat nahin kahi gayi baat nahin suni gayi Baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab samāñ Yaad rahi teri yahaan phir teri yaad bhi gayi Us ke badan ko di namood hum ne sukhan mein aur phir Us ke badan ke waaste ek qabā bhi si gayi Meena ba meena mai ba mai jaam ba jaam jam ba jam Nāf piyāle ki tere yaad ajab seh gayi Kehni hai mujh ko ek baat aap se ya'ni aap se Aap ke shehr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gayi Sehn-e-khayāl-e-yār mein ki na basar shab-e-firāq Jab se woh chandnā gaya jab se woh chandni gayi

‹ کلام کی فہرست پر واپس