سارے رشتے تباہ کر آیا
سارے رشتے تباہ کر آیا دل برباد اپنے گھر آیا آخرش خون تھوکنے سے میاں بات میں تیری کیا اثر آیا تھا خبر میں زیاں دل و جاں کا ہر طرف سے میں بے خبر آیا اب یہاں ہوش میں کبھی اپنے نہیں آؤں گا میں اگر آیا میں رہا عمر بھر جدا خود سے یاد میں خود کو عمر بھر آیا وہ جو دل نام کا تھا ایک نفر آج میں اس سے بھی مکر آیا مدتوں بعد گھر گیا تھا میں جاتے ہی میں وہاں سے ڈر آیا
English rendering
Saare rishte tabāh kar aaya Dil barbaad apne ghar aaya Ākhirash khoon thookne se miyaan Baat mein teri kya asar aaya Tha khabar mein ziyaan-e-dil-o-jaan ka Har taraf se main be-khabar aaya Ab yahaan hosh mein kabhi apne Nahin āūñga main agar aaya Main raha umar bhar judā khud se Yaad mein khud ko umar bhar aaya Woh jo dil naam ka tha ek nafar Aaj main us se bhi mukar aaya Muddaton baad ghar gaya tha main Jaate hi main wahaan se dar aaya