اپنے دل کی کھوج میں کھو گئے کیا کیا لوگ
اپنے دل کی کھوج میں کھو گئے کیا کیا لوگ آنسو تپتی ریت میں بو گئے کیا کیا لوگ کرنوں کے طوفان سے بجرے بھر بھر کر روشنیاں اس گھاٹ پر ڈھو گئے کیا کیا لوگ سانجھ سمے اس کنج میں زندگیوں کی اوٹ بج گئی کیا کیا بانسری رو گئے کیا کیا لوگ میلی چادر تان کر اس چوکھٹ کے دوار صدیوں کے کہرام میں سو گئے کیا کیا لوگ گٹھڑی کال رین کی سونٹی سے لٹکائے اپنی دھن میں دھیان نگر کو گئے کیا کیا لوگ میٹھے میٹھے بول میں دوہے کا ہنڈول سن سن اس کو بانورے ہو گئے کیا کیا لوگ
English rendering
Apne dil ki khoj mein kho gaye kya kya log Aansu tapti ret mein bo gaye kya kya log Kirnon ke toofan se bajre bhar bhar kar Roshniyan us ghaat par dho gaye kya kya log Saanjh samay us kunj mein zindagiyon ki oat Baj gai kya kya bansari ro gaye kya kya log Meli chadar taan kar is chaukhat ke dwaar Sadiyon ke kohraam mein so gaye kya kya log Gathri kaal rain ki sonti se latkaye Apni dhun mein dhyan nagar ko gaye kya kya log Meethe meethe bol mein dohe ka hindol Sun sun us ko banware ho gaye kya kya log