بندا
کاش میں تیرے بن گوش میں بندا ہوتا رات کو بے خبری میں جو مچل جاتا میں تو ترے کان سے چپ چاپ نکل جاتا میں صبح کو گرتے تری زلفوں سے جب باسی پھول میرے کھو جانے پہ ہوتا ترا دل کتنا ملول تو مجھے ڈھونڈھتی کس شوق سے گھبراہٹ میں اپنے مہکے ہوئے بستر کی ہر اک سلوٹ میں جوں ہی کرتیں تری نرم انگلیاں محسوس مجھے ملتا اس گوش کا پھر گوشۂ مانوس مجھے کان سے تو مجھے ہرگز نہ اتارا کرتی تو کبھی میری جدائی نہ گوارا کرتی یوں تری قربت رنگیں کے نشے میں مدہوش عمر بھر رہتا مری جاں میں ترا حلقہ بگوش کاش میں تیرے بن گوش میں بندا ہوتا
English rendering
Kaash maiñ tere ban gosh mein bunda hotā Rāt ko be-ḳhabrī mein jo machal jātā maiñ To tere kān se chup chāp nikal jātā maiñ Subah ko girte terī zulfoñ se jab bāsī phūl Mere kho jāne pe hotā terā dil kitnā malūl Tu mujhe ḍhūñḍhtī kis shauq se ghabrāhaṭ mein Apne mahke hue bistar kī har ik silvaṭ mein Jyoñ hī kartīñ terī narm uñgliyāñ mahsūs mujhe Milta us gosh kā phir goshe-e-mānoos mujhe Kaan se to mujhe hargiz na utārā kartī Tu kabhī merī judā'ī na gawārā kartī Yūñ terī qurbat-e-rañgeen ke nashe mein madhosh Umar bhar rahtā merī jāñ maiñ terā halqa ba-gosh Kaash maiñ tere ban gosh mein bunda hotā