امروز
ابد کے سمندر کی اک موج جس پر مری زندگی کا کنول تیرتا ہے کسی ان سنی دائمی راگنی کی کوئی تان آزردہ آوارہ برباد جو دم بھر کو آ کر مری الجھی الجھی سی سانسوں کے سنگیت میں ڈھل گئی ہے زمانے کی پھیلی ہوئی بیکراں وسعتوں میں یہ دو چار لمحوں کی میعاد طلوع و غروب مہ و مہر کے جاودانی تسلسل کی دو چار کڑیاں یہ کچھ تھرتھراتے اجالوں کا رومان یہ کچھ سنسناتے اندھیروں کا قصہ یہ جو کچھ کہ میرے زمانے میں ہے اور یہ جو کچھ کہ اس کے زمانے میں میں ہوں یہی میرا حصہ ازل سے ابد کے خزانوں سے ہے بس یہی میرا حصہ مجھے کیا خبر وقت کے دیوتا کی حسیں رتھ کے پہیوں تلے پس چکے ہیں مقدر کے کتنے کھلونے زمانوں کے ہنگامے صدیوں کے صد ہا ہیولے مجھے کیا تعلق میری آخری سانس کے بعد بھی دوش گیتی پہ مچلے مہ و سال کے لا زوال آبشار رواں کا وہ آنچل جو تاروں کو چھو لے مگر آہ یہ لمحۂ مختصر جو مری زندگی میرا زاد سفر ہے مرے ساتھ ہے میرے بس میں ہے میری ہتھیلی پہ ہے یہ لبا لب پیالہ یہی کچھ ہے لے دے کے میرے لیے اس خرابات شام و سحر میں یہی کچھ یہ اک مہلت کاوش درد ہستی یہ اک فرصت کوشش آہ و نالہ یہ صہبائے امروز جو صبح کی شاہزادی کی مست انکھڑیوں سے ٹپک کر بدور حیات آ گئی ہے یہ ننھی سی چڑیاں جو چھت میں چہکنے لگی ہیں ہوا کا یہ جھونکا جو میرے دریچے میں تلسی کی ٹہنی کو لرزا گیا ہے پڑوسن کے آنگن میں پانی کے نلکے پہ یہ چوڑیاں جو چھنکنے لگی ہیں یہ دنیائے امروز میری ہے میرے دل زار کی دھڑکنوں کی امیں ہے یہ اشکوں سے شاداب دو چار صبحیں یہ آہوں سے معمور دو چار شامیں انہی چلمنوں سے مجھے دیکھنا ہے وہ جو کچھ کہ نظروں کی زد میں نہیں ہے
English rendering
Abad ke samundar kī ik mauj jis par merī zindagī kā kañwal tairtā hai Kisī un sunī dā'imī rāginī kī koī tān āzurda āwāra barbād Jo dam bhar ko aa kar merī uljhī uljhī sī sāñsoñ ke sañgeet mein ḍhal ga'ī hai Zamāne kī phailī hu'ī be-karāñ wus'atõ mein yeh do chār lamhoñ kī mī'ād Tulū-o-g̠hurūb-e-mah-o-mehr ke jāvedānī tasalsul kī do chār kaṛiyāñ Yeh kuchh thartharāte ujāloñ kā romān yeh kuchh sansanāte andheroñ kā qissa Yeh jo kuchh ke mere zamāne mein hai aur yeh jo kuchh ke us ke zamāne mein maiñ hūñ Yahī merā hissa azal se abad ke ḳhazānoñ se hai bas yahī merā hissa Mujhe kyā ḳhabar waqt ke devtā kī haseen rath ke pahiyoñ tale pas chuke hain Muqaddar ke kitne khilaune zamānoñ ke hangāme sadiyoñ ke sad-hā hayūle Mujhe kyā ta'alluq merī āḳhirī sāñs ke ba'd bhī dosh-e-geetī pe machle Mah-o-sāl ke lā-zawāl ābshār-e-ravāñ kā woh āñchal jo tāroñ ko chhu le Magar āh yeh lamha-e-muḳhtasar jo merī zindagī merā zād-e-safar hai Mere sāth hai mere bas mein hai merī hathelī pe hai yeh labā-lab piyāla Yahī kuchh hai le de ke mere liye is ḳharābāt-e-shām-o-sahar mein yahī kuchh Yeh ik muhlat-e-kāwish-e-dard-e-hastī yeh ik fursat-e-koshish-e-āh-o-nāla Yeh sahbā-e-imroz jo subah kī shehzādī kī mast añkhiṛiyoñ se ṭapak kar Ba-daur-e-hayāt aa ga'ī hai yeh nanhī sī chiṛiyāñ jo chhat mein chahakne lagī hain Hawā kā yeh jhoñkā jo mere darīche mein tulsī kī ṭahnī ko larzā gayā hai Paṛosan ke āñgan mein pānī ke nalke pe yeh chooṛiyāñ jo chhanke lagī hain Yeh dunyā-e-imroz merī hai mere dil-e-zār kī dhaṛkanoñ kī amīñ hai Yeh ashkoñ se shādāb do chār subheiñ yeh āhoñ se ma'mūr do chār shāmeiñ Unhīñ chilmanoñ se mujhe dekhnā hai woh jo kuchh ke nazroñ kī zad mein nahīñ hai