جاوداں قدروں کی شمعیں بجھ گئیں تو جل اٹھی تقدیر دل
جاوداں قدروں کی شمعیں بجھ گئیں تو جل اٹھی تقدیر دل آج اس مٹی کے ہر ذی روح ذرے میں بھی ہے تصویر دل اپنے دل کی راکھ چن کر کاش ان لمحوں کی بہتی آگ میں میں بھی اک سیال شعلے کے ورق پر لکھ سکوں تفسیر دل میں نہ سمجھا ورنہ ہنگاموں بھری دنیا میں اک آہٹ کے سنگ کوئی تو تھا آج جس کا قہقہہ دل میں ہے دامن گیر دل رت بدلتے ہی چمن چو ہم صفیر اب کے بھی کوسوں دور سے آ کے جب اس شاخ پر چہکے مرے دل میں بجی زنجیر دل کیا سفر تھا بے صدا صدیوں کے پل کے اس طرف اس موڑ تک پے بہ پے ابھرا سنہری گرد سے اک نالۂ دلگیر دل وار دنیا نے کئے مجھ پر تو امجدؔ میں نے اس گھمسان میں اپنا سینہ چیر کر رکھ دی نیام حرف میں شمشیر دل
English rendering
Jāvedāñ qadron kī shama'ein bujh ga'iiñ to jal uṭhī taqdeer-e-dil Aaj is miṭṭī ke har zī rūḥ zarre mein bhī hai tasveer-e-dil Apne dil kī raakh chun kar kaash un lamhoñ kī bahtī aag mein Maiñ bhī ik sayyāl sho'le ke waraq par likh sakūñ tafseer-e-dil Maiñ na samjhā varna hangāmoñ bharī duniyā mein ik āhaṭ ke sang Ko'ī to thā aaj jis kā qahqaha dil mein hai dāman-geer-e-dil Rut badalte hī chaman chuñ ham-safeer ab ke bhī kosoñ duur se Aa ke jab is shāḳh par chahke mere dil mein bajī zañjeer-e-dil Kyā safar thā be-sadā sadiyoñ ke pul ke us taraf us moṛ tak Pay ba pay ubhrā sunahrī gard se ik nāla-e-dilgeer-e-dil Wār duniyā ne kiye mujh par to Amjad! maiñ ne is ghamsān mein Apnā seena cheer kar rakh dī niyām harf mein shamshīr-e-dil